Nojawan Larkiyon Mein Kamzoree Aur Thakan Ki Wajohaat | Female Sexual Problems

 نوجوان لڑکیوں میں کمزوری اور تھکن کی وجوہات

Nojawan Larkiyon Mein Kamzoree Aur Thakan Ki Wajohaat


نوجوان لڑکیوں میں کمزوری اور تھکن کی وجوہات

Larkiyon ki Kamzoree 





عورت کی صحت (Woman Health)


Kamzoree آپ تھکاوٹ محسوس کیوں کرتے ہیں؟




Larkiyon Ke Masail 

Aam Tor Par Har Ghar Mein Nojawan Larkiyan Aksar Auqaat Sir Dard Ki Aur Thakan Ki Shikayat Karti Nazar Aati Hain Jis Ko Ghar Walay Kaam Chori Ya Phir Kam Khanay Ki Wajah Qarar Dete Hin- Magar Bohat Kam Afraad Is Baat Se Waaqif Hotay Hain Ke Yeh Alamaat Dar Haqeeqat Aik Bemari Ka Sabab Hoti Hain Is Bemari Mein Larkiyan Sir Dard Ki Shikayat Karti Hain Un Ka Blood Pressure Khatarnaak Had Tak Kam Ho Jata Hai Yahan Tak Ke Baaz Auqaat Yeh Be Hoshi Tak Ja Pohanchana Hai -

Alamaat :                                                                   


Is Bemari Ki Alamaat Kuch Is Terhan Hoti Hain Shadeed Thakan Hoti Hai Jis Ki Wajah Se Roz Marrah Ke Kaam Karne Mein Dil Nahi Lagta Hai Aur Khwahish Hoti Hai Ke Insaan Ziyada Waqt Bistar Par Hi Guzaar Day. Is Bemari Mein Insaan Neend Se Uthnay Ke Baad Bhi Fresh Nahi Hota Hai Aur Is Ki Khwahish Hoti Hai Ke Woh Mazeed Neend Kar Le Sir Dard Aur Pait Mein Dard Hota Hai Aur Is Ke Sath Sath Shadeed Chakkar Bhi Atay Hin-

Wajohaat :                                                                       


Mere Mutabiq Yeh Bemari Dar Haqeeqat Dimagh Aur Jism Ke Darmiyan Be Etdaali Ke Sabab Hoti Hai Agar Dimagh Kisi Hawalay Se Bohat Ziyada Dabao Mein Hota Hai To Is Ka Assar Barah E Raast Jismani Mamlaat Par Parta Hai Jis Ke Sabab Jism Sehat Mand Honay Ke Bawajood Bemaar Ho Jata Hai Jis Ki Alamaat To Mojood Hoti Hain Magar Asbaab Wazeh Nahi Hotay Hin-

Aam Tor Par Is Ki Wajohaat Mein Kisi Qisam Ka Zehni Dabao Sab Se Ahem Wajah Hoti Hai Jaisay Ke Imthehaan Ki Tension, Ya Phir Jazbati Utaar Charhao Bhi Is Ka Sabab Ho Sakta Hai - Is Ke Ilawa Aam Tor Par Hormone Mein Honay Wali Tabdeeli Bhi Is Ka Ahem Sabab Ho Sakti Hai. Mahvari Ke Cycle Mein Bhi Mahvari Ke Dinon Ke Baad Honay Walay Jazbati Dabao Ki Wajah Se Bhi Nojawan Larkiyan Un Alamaat Ka Shikaar Ho Sakti Hin-

Ilaaj :

 1-Musbet Andaaz Fikar

Bachiyon Ke Andar Misbet Andaaz Fikar Peda Karen Un Ke Andar Sabr Aur Shukar Ke Jazbaat Parwan Charhayen Aur Un Ko Khush Rehne Ke Tareeqay Btain-


2 - Mayaari Neend


Insani Dimagh Ke Liye Aik Achi Neend Aik Taank Ka Kaam Karti Hai Is Ke Liye Zaroori Hai Ke Sahih Waqt Par Sonay Ki Koshish Ki Jaye Aur Is Ke Baad Jaagne Ka Waqt Bhi Muqarrar Ho Taakay Insaan Is Neend Se Woh Tawanaai Haasil Kar Sakay Jo Is Ke lie Din Bhar Mein Madadgaar Saabit Ho-


3 - Achi Aur Saada Ghiza


Bachiyon Ki Mustaqbil Ki Nash-O-Numa Ke Liye Mutawazan Ghiza Ki Ahmiyat Larkoon Se Ziyada Hoti Hai Kyun Ke Unhon Ne Apni Anay Wali Zindagi Mein Aik Maa Bhi Ban-Na Hota Hai - Is Liye Un Ki Ghiza Ke Chnao Mein Un Tamam Umoor Par Nazar Rakhen Aur Aisi Mutawazan Ghiza Faraham Karen Jo Ke Calcium, Protein Aur Vitamin Se Bharpoor Ho Aisi Ghiza Ka Bohat Mehanga Hona Zaroori Nahi Hai Saada Si Ghiza Mein Bhi Aisay Ajza Baham Pohanchaye Ja Satke Hin-

4 - Nafsiati Dabao Se Bachayen

Aam Tor Par Har Waqt Ki Daant Nakami Ka Dabao Bachiyon Ko Is Bemari Mein Mubtala Kar Sakta Hai Aisay Moqaon Par Ghar Ke Afraad Is Bemari Ke Khatmay Mein Ahem Kirdaar Ada Kar Satke Hain Aur Bachiyon Ko Apni Mohabbat Ka Ehsas Dila Kar Un Ko Is Nafsiati Dabao Se Azad Karwa Satke Hin- Shukriya

 


Post a Comment

0 Comments

j