ناپاکی کے ایسے نقصانات جن سے ہم بے خبر ہیں
Napaaki Ke Aisay Nuqsanaat Jin Se Hum Be Khabar Hain | health Tips
Health Tips |
Health Tips In Urdu
Health Tips In Hindi
Hamein apne jism ko pak rakhna chahiye. Bohat se
larke larkiyan napak honay ke baad apne roz maraah ke kaam kaaj ke sath khanay
peenay mein bhi masroof ho jatay hain. Is fikar se be fikar ho kar ke abhi unko
apna jism pak bhi karna he. Musalman aur kafir mein farq unkay deen unkay imaan
aur be shumaar dosray mamlaat ke ilawa paki napaaki ke mamlaat ka khayaal
rakhna bhi he .
Yeh kaam kafir log karte hain. Shehwat mehsoos
hoe maza liya uskay baad apne apne kamon mein masroof ho gaye. Aik musalman ke
liye uskay napak jism ko pak rakhna be had ahmiyat rakhta hai. Shaed hmm bhool
gaye hain ke hmm alhmd allah musalman hain. Yeh tor tareeqay kafiroon ke hain.
Kafiroon ke tor tareeqay apnayen ge to tabahi hamara muqaddar hai. Napaaki ki
haalat mein apke ird gird mojood shaytani makhlooq insaan ke jism se chipakti hain.
Is pay qabza karne ki koshish mein reheti hain .
Napaaki ki haalat mein shaytani cheeze sharam
gahon se khelti hain. Chahay mard ho ya aurat yeh cheeze sharam gaahon mein aib
daalna shuru kar deti hain. Jo barhatay barhatay bemari ki soorat ikhtiyar kar
jati hain. 80 feesad jismani bemariyan humahari ghalat aadaat aur napak jism ki
wajah se peda hoti hain. Allah pak ne jism ki pledgi ke baad ghusal karne aur
jism ko pak rakhnay ka hukum is liye nahi diya ke apke jism se kisi paas baithy
hue ko badboo nah aaye .
Balkay is bunyaad pay hukum diya gaya hai ke
insaan ghaleez shaytani makhlooq ke shar se mehfooz rahay. Apne bachon, bhaiyon
aur behnoon ko ghusal ke sahih aadaab bitayen. Sab se ziyada log jo ghalti
karte hain woh ghusal ke douran naak mein pani daalnay ke tareeqay se daur
rehtay hoye naak ki haddi tak pani nahi pouncha paate bas. Naak mein mamooli si
jagah giili mehsoos hoe itna hi kaafi samajte hain .
Jab tak naak mein pani se mirchain mehsoos nah
hoon, matlab pani naak ki haddi ki aakhri had tak nahi chala jata jahan se woh
hilak mein bhi gir sakta he, tab tak wudu ka tareeqa mukammal nahi ho ga. Wudu
nah huwa to jism nahanay se pak nahi huwa jitni baar chahin nehain. Magar up ka
jism pak nahi ho ga. Choti choti si baatein dheyaan mein rakhen. Taakay
barray masloo se mehfooz rahen .
Writen by Malik M Nawaz
0 Comments