Ghusal Kis Soorat Mein Wajib Hota Hai ?
غسل کس صورت میں واجب ہوتا ہے؟
Aap Ko Pehlay Money Aur Mazi Ki Tareef Maloom Hokar Farq Samjhna Chahiye,
Money Kehte Hain Is Safaid Garha Pani Ko Jo
Shehwat Ke Sath Uchhal Kar Niklay Aur Niklny Ke Baad Shehwat Khatam Hojaye Is
Ke Niklny Se Ghusal Wajib Hota Hai. Aur Mazi Kehte Hain Is Safaid Putlaay Lass
Daar Pani Ko Jo Biwi Se Dil Lagi Karne Ya Hambistari Karne Se Pehlay Ya Kisi Ke
Sath Shehwat Angaiz Baat Karne Ya Shehwat Angaiz Manazair Dekhnay Aur Suneney
Se Baghair Uchlay Aur Baghair Shehwat Ke Niklay, Aur Is Ke Niklny Se Shehwat
Khatam Nahi Hoti Balkay Aur Barh Jati Hai. Bad Nazri Ya Buray Khayalat Ke Baad
Umooman Mazi Nikalti Hai Lehaza Soorat Maoola Mein Aap Ko Jo Qatra Nikalta Hai
Woh Bzahir Mazi Maloom Hota Hai Jis Ka Hukum Yeh Hai Ke Is Se Wudu Toot Jata
Hai, Ghusal Wajib Nahi Hota Aur Kapray Ke Jis Hissa Mein Lag Jaye Sirf Itnay
Hissa Ka Dhona Zaroori Hota Hai, Raha Neend Se Uthnay Ke Baad Aap Ko Jo Qatra
Nazar Aata Hai To Agar Aap Ko Mazkoorah Baala Tareef Ki Roshni Mein Yaqeen
Hojaye Ke Yeh Money Hai Khuwa Khawab Yaad Ho Ya Nah Ho Ya Money Aur Mazi Honay Mein
Shak Ho Ya Mazi Honay Ka Yaqeen Ho Aur Khawab Yaad Hoto Ghusal Janabat Wajib
Hoga.
FAQ About This Artical
Ghusal Karna Kis Waqt Wajib Hota Hai Aur Kab Mustahib ?
Kin Cheezon Se Ghusal Wajib Hota Hai?
0 Comments